Search DogarPak

Showing posts with label Poetry. Show all posts
Showing posts with label Poetry. Show all posts

Jab Tera Hukm Mila Tark Mohabbat Kar Di


Jab Tera Hukm Mila Tark Mohabbat Kar Di,
Dil Magar Is Pe Wo Dharka Ke Qayamat Kar Di,
Tujhse Kis Tarah Main Izhaar-E-Tamanna Karta,
Lafz Soojha To Maani Ne Bagawat Kar Di,
Main To Samjha Tha Ke Laut Aate Hai Jaane Wale,
Tune Jaa Kar To Judayi Meri Kismat Kar Di,
Mujhko Dushman Ke Iradon Pe Bhi Pyaar Ata Hai,
Teri Ulfat Ne Mohabbat Meri Aadat Kar Di,
Puchh Baitha Hoon Main Tujhse Tere Kooche Ka Pata,
Teri Halat Ne Kaisi Teri Soorat Kar Di

Labon pe Phool khilte hain kisi ke Naam se pehle


Labon pe Phool khilte hain kisi ke Naam se pehle,
Dilon ke Deep jalte hain Chiragh-e-Shaam se pehle,

Kabhi Manzar badalne par bhi Qissa chal nahi pata,
Kahaani khatam hoti hai kabhi Anjaam se pehle,

Ye hi Taare Tumhaari Aankh ki Chilman mein rehte the
Ye hi Suraj nikalta tha Tumhare Baam se pehle

Hui hai Shaam Jungle mein Parinde laut-te honge
Ab inko kis tarah roke Nawaah-e-Daam se pehle

Ye saare Rang Murdaa the Tumhaari Shakl banne tak
Ye Saare Harf Muhmal the Tumhaare Naam se pehle

Hua hai wo agar Munsif to Ahtiyatan Hum,
Saza Tasleem karte hain kisi Ilzam se pahle..!

Kaash aa jaaye, mujhe jaan se guzarte dekhe


Kaash aa jaaye, mujhe jaan se guzarte dekhe
us ki khwaahish thi kabhi mujkho bikharte dekhe
wo saleeqay se huwa mujh se gureyzan warna
log to saaf mohabbat se mukarte dekhe
tum ney dekha hey nikalta huwa sooraj logo
tum ne kuch khwaab suhaanay nahi marte dekhe
waqt hota hey har ik zakhm ka marham shayed
phir bhi kuch zakhm thay aesey jo na bhartay dekhe
aek sehmey huwey sahil ki tarha aankhon ne
kitne charhtey huwey toofan utarte dekhay

Karb chehray se maah-o-saal ka DHOYA jaaye


Karb chehray se maah-o-saal ka DHOYA jaaye
Aaj fursat se kaheen baith k ROYA jaaye.
Phir kisi nazm ki tamheed uthaai jaaye
Phir kisi jism ko lafzon men SAMOYA jaaye.
Kuch to ho raat ki sarhad men utarnay ki saza
Garm sooraj ko sammundar men DuBOYA jaaye.
Itni jaldi to badaltay nahi hongay chehray
Gard aalood hain aaeenay inhain DHOYA jaaye.
Maut se khof zada jeenay se Bay-zaar hain log
Aisay aalam men hansa jaaye k ROYA jaaye...

Mere junon ka nateja zaror nikly ga


Mere junon ka nateja zaror nikly ga,

Issi siyah samundar se noor nikly ga,

Gira diya hy to sahil pay intazar na kar,

Agar wo Doob gya hay to door nikly ga,

Usi ka shehar
wohi muda'e,
wohi munsif,

humain yaqen tha humara hi qasor niklay ga,

Yaqen na aye to ek bat poch ker dekho,

Jo haNs raha hy wo zakhmoN se choor niklay ga

Hum Se Dekhi Nahi Jati Yeh Veerani Dil Ki

Hum Se Dekhi Nahi Jati Yeh Veerani Dil Ki
Koi Samjha Hai Na Samjhay Ga Kahani Dil Ki
Tamana ishq Ki Barbaad Kar Gai Hum Ko
Hum Jisay Aaj B Kehte Hain Nadani Dil Ki
Jab B Dekha Usay, Dharkan Na Phir Sambhal Pai
Ab B Mansoob Ussi Se Hai Rawani Dil Ki
Hum Na Badlay Magar Duniya Badal Gai
Wohi Dil Hai, Wohi Aadat Hai Purani Dil Ki

Kehnay Ko Muhabbat Hai Lakin

Kehnay Ko Muhabbat Hai Lakin
Ab aisi Muhabbat Kia Kerni…
Jo Neend Chura Le Ankhon Se

Jo Khawab Dikha K Pholon K
Tabeer Main Kantay De Jai
Jo Gham Ki Kali Raaton Se
Her Aas Ka Jugnu Le Jai
Jo Khawab Sajati Ankhon Ko
Aansu He Aansu De Jai
Jo Mushkil Ker De Jeenay Ko
Jo Marnay Ko Asaan Keray
Woh Dil Jo Pyar Ka Mandir Ho
Wo Yadoon Ko Mehman Kare

Ab Aisi Muhabbat Kaya Karni…
Jo Umer Ki Naqdi Le Jaey
Aur Phir Bhi Jholi Khali Ho
Woh Soorat DIL Ka Rog Bana
Jo Soorat Dekhi Bhaali Ho
Jo Qais Bana De Insan Ko
Jo Ranjha Aur Farhad Karay

Ab Aisi Muhabbat Kya Karni..?
Jo Khushiyon Ko Barbad Kare
Dekho To Muhabbat K Baray
Har Shakhs Yahi Kuch Kehta Hai
Socho To Muhabbat K Ander
Ik Dard Humesha Rehta Hai

Phir Bhi Jo Cheez MUHABBAT Hai
Kab In Baaton Se Darti Hai
Kab In K Baandhay Rukti Hai
Jis DIL Main Iss Ko Basna Ho
Yeh Chupkay Say Bas Jati Hai
AB AISI MUHABBAT KIA KARNI…???

Apny ko ham is shehr main ruswa na karen gey - Ibn-e-Insha



اپنے کو ھم اس شہر میں رسوا نہ کریں گے
اب تک جو ھوا خیر اب ایسا نہ کریں گے
وعدہ ھےکہ اب اور جلائیں گے نہ جی کو
نقصان ھے اس میں تو یہ سودا نہ کریں گے
تا شام نہ ان کوچوں میں گھومیں گے پریشاں
تا صبخ شبِ ماہ میں جاگا نہ کریں گے
ہر موڑ پہ ٹھٹکیں گے نہ دیوانوں کی صورت
ہر در پہ تجھے جا کے پکارا نہ کریں گے
لکھیں گے کسی اور ہی عنوان سے نظمیں
غژلوں مں بھی اس بات کا چرچا نہ کریں گے

Apny ko ham is shehr main ruswa na karen gey
Ab tak jo hooa khaer ,ab aesa na karen gey
Wada hae k ab or jalaen gey na ji ko
Nuqsan hae is mein to ye soda na karen gey
Ta shaam na un koochon mein ghoomen gey preshaa;n
Ta subh shab-e-maah mein jaga na karen gey
Her morr pe thatken gey na deewano ki soorat
Her dar pe tujhy ja k pukara na karen gey
Likhen gey kisi or hi unwaan se nazmen
Ghazlon mein bhi is baat ka charcha na karen gey

Kisi Pathar Numa DIL Par B Dastak Ho Hi Jati Hy


Kisi Pathar Numa DIL Par B Dastak Ho Hi Jati Hy

K Hasrat Jag Jaye to Karamat Ho Hi Jati Hy

Kisi anjan Chehre Se,Kisi Purlutf Lamhe me

Jo Karna Na B Chaho To MOHABBAT Ho Hi Jati Hy

Kisi Khamosh Chehre Se Musalsal ashk Behne Pr

Chupana B Agr Chaho,Wazahat Ho Hi Jati Hy

Kisi K Dur Jane Pr Umyde Tut Jane Se

Wafa Me Rog Milne Ki ShiKayat Ho Hi Jati Hy

Ye Tmne B Suna Hoga Zmana Aise Kehta Hy

K Jb B Ishq Hota Hy,Bghawat Ho Hi Jati HY

Bina Ik Lafz Bolay Wo Gaya Or Phir Nahi Aaya



Bina Ik Lafz Bolay Wo Gaya Or Phir Nahi Aaya
bazahir aam lehjay main
kaha tha main ne jab us se
“badal lo raasta apna
juda rahain yaheen karlo
hamaray chahnay na chahnay se
kuch nahi hota
ye hi sach hai ke hum do mukhtalif
raston ke raahi hai
to phir kion dil ki manain hum
shuru main manti hoon main
azziyat dil ko pohanchay gi
magar phir waqt guzray ga
sabhi zakhmon ko bhar de ga”
meray is aam se lehjay pe wo
ik pal ko chonka tha
meri aankhon main aankhain daal kar
hairat se poocha tha
“ye sab jo keh rahi ho khud ko ye samjha bhi pao gi?”
bohat hi jee karda kar ke
main us dam muskuraii thi
bohat khud pe jabar kar ke
main us se keh ye payi thi
“meri tum fikr rehnay do
sambhal jaoon gi main khud hi
sabhi zakhmon ko sii loon gi
bhula kar sari batoon ko
akaili bhi main jee loon gi”
buhat hi be yaqeen aakhoon se
us ne mujh ko dekha aur
Bina ik lafz bolay wo gaya or phir nahi aaya
aur ab tark_e_taalluq ko
agarche umar beeti hai
magar is dil pe us ki zaat ka
jo naqsh qaaim tha
kabhi dhundla nahi hota
mujhay mehsoos hota hai
ke jaisay meray kanoon main
wo apni bolti aankhoon se
sargoshi si karta hai

“WO SAB JO KEH RAHI THEEN
KHUD KO WO SAMJHA BHI PAI HO?”

Usay kehna December ja raha hy




Usay kehna December ja raha hy

December k guzrtay he,

baras ik aur maazi ka,

fiza main doob jae ga

Usay kehna

December k guzarnay say zra pehlay

muhabbat ki kahani ko,

koi takmeel day jana

Usay kehna

December ka mahina jesay guzray ga

Umeedain doob jayen gi

wo sapnay toot jayen gay

Usay kehna

December k guzarnay say zra pehlay

Muhabbat ko koi tabeer day jaay

Usay kehna

Muqadar ko Hmaray doob janay sy bacha lena

Usay kehna

December ja raha hy

Wo ik masoom si chahat



Wo ik masoom si chahat,
Wo ik benaam si ulfat
Wo meri zaat ka hissa,
Wo meri zeest ka qissa
"Mjhy Mehsoos hota hai,,,
Wo mere paas hai ab bhi"
Wo jab jab yaad ata hay,
Nigahoun me samata hai
Zuban khamosh hoti hai,
Magar ye Ankh roti hai
Mein khud se puch leti hun,
Usay kya pyaar hai mjh se
Jawaban soch leti hun,
Usay bhe pyaar hai “SHAYAD”
Isi “SHAYAD” se wabsta hai,
Ab to her khushi meri
Yahi ek lafz “SHAYAD” Ban gya hai Zindagi meri ..

Wohi galian wohi koochay



Wohi galian, wohi koochay, wohi sardi ka mosam hai..
Isi andaz say apna nizam- e- zeest barham hai..
Ye husn-e-ittafaq aisa k nikhri chandni bhi hai...
Wohi hr simt wirani, udasi, tishnagi c hai...
Wohi hai bheer sochon ki, wohi tanhaiyan phir say...
Musafir ajnabi or dasht ki pinhaian phir say..
Wo jis k honay say zindagi naghma sarai hai..
Usay kehna k bheegi SARDIAN phir loat ayi hain...!

Bohat kaha tha k maira dukh darbar na karna - Rehana Qamar

بہت کہا تھا کہ میرا دکھ دربدر نہ کرنا
بہت کہا تھا کہ میری باتیں ادھر نہ کرنا

بہت کہا تھا کہ پانیوں پر نہ رہ سکو گے
بہت کہا تھا کہ میری آنکھوں میں گھر نہ کرنا

بہت کہا تھا کہ پیار میں جی لگا ہوا ہے
بہت کہا تھا یہ سلسلہ مختصر نہ کرنا

بہت کہا تھا کہ آنسوؤں کی چمک بہت ہے
بہت کہا تھا کہ ان کے ہوتے سحر نہ کرنا

بہت کہا تھا کہ خود سے باہر نہ آ سکو گے
بہت کہا تھا کہ اپنے اندر سفر نہ کرنا

بہت کہا تھا کہ دل میں رکھنا دلوں کی باتیں
بہت کہا تھا کہ سب کو ان کی خبر نہ کرنا

بہت کہا تھا یہ فرق پہچانتی نہیں ہیں
بہت کہا تھا ہواؤں کو ہمسفر نہ کرنا

بہت کہا تھا کہ لوگ چہرے کو دیکھتے ہیں
بہت کہا تھا کہ اُس کی باتیں قمر نہ کرنا

Tasawwur Me Ek Tasver Purani Wahi Rahi

Tasawwur Me Ek Tasver Purani Wahi Rahi..
Sara Aalam Badal Gaya Meri Kahani Wahi Rahi..

Barso Pehle Thi Jin Ko Paane Ki Tamanna...
Muddato Baad bhi Aarzu--Zindgani Wahi Rahi..

Yun To Hazaro Gham Khaye Hain Hamne Magar..
Is Bebas Dil Per Unki Nishani Wahi Rahi..

Wo Kabhi Chandni Raat Me Ki Thi Dil Ke Baatain..
Mere Hisse Me Sham Suhani Wahi Rahi..

Ye Qismat Ka Kaisa Raha Tamasha Hum Se...
Ke Ek Lamba Arsa Guzra Magar Hairani Wahi Rahi

Kamal-e-Zabt ka Malik, Nazar Shanas B Tha.

Kamal-e-Zabt ka Malik, Nazar Shanas B Tha.
Bicharr Raha Tha Achanak, To BadHawas B Tha,

Labon Pe KhoobSurat Tabassum Sajae Phirtha Tha,
Wo ek Shakhs jo Shayad Bht Uddas B Tha,

Main jis ki Yad ki Parchaaion me Gum hun abi Tk,
Wo Dastaras me Na Tha, Or Mere Pas B Tha..!

Yehi wada lia tha na

یہی وعدہ لیا تھا نا
ہمیشہ خوش ہی رہنا ہے،
لو دیکھو! دیکھ لو آ کے،
میری آنکھوں کو دیکھو تم،
یہ کتنی شوخ لگتی ہیں
  میرے ہونٹوں کو دیکھو تم
ہمیشہ مسکراتے ہیں
کوئ بھی غم اگر آۓ
اسے ہنس کر سہا میں نے
میرے چہرے کو دیکھو تم
ہمیشہ پرسکون ہو گا
کیا تھا میں نے جو تم سے
وہ وعدہ کر دیا پورا
مگر اک بات ہے پیارے
کبھی جو وقت مل جاۓ
تو میری شاعری پڑھنا
تمہیں محسوس تو ہوگا
کہیں تلخی بھرا لہجہ
کہیں پہ سرد سا لہجہ
کہیں پہ درد کی جھیلیں
کہیں لہجہ کی کڑواہٹ
سنو ۔۔۔
میں خوش تو ہوں لیکن
میرا ہر لفظ روتا ہے۔۔۔۔۔۔۔۔

Bujhey Bujhey se Aajeeeb Din hain

Bujhey Bujhey se Aajeeeb Din hain
Khowab hen na Khyal koi

Na manzaro'n me koi kashish hai
Na mosamo'n me Jamal koi

Ham aik Doojay ko apni apni
Adhoori Aankho'n se dekhtey hen

Hamari Barso'n ki chahto'n per
Oter raha hai Zawal koi

Jo Hansna chahe'n to Ashek niklen
Jo Rona chahe'n to Hanstey Jain

Hamarey Jazbaat girrvi rakh ker
Bana raha hai misaal koi .!

Bikhri hai kuch is tarah MOHABBAT Usey kehna

Bikhri hai kuch is tarah MOHABBAT Usey kehna,
Aankhon mein utar Ayi hai wehshat Usey kehna,
Kehna K Tere baad se G lagta nahi hai,
Bey-Chain C rehti hai tabiyat Usey kehna,
Aansu se wazu kar k ye khamosh aankhein,
Karti hain Teri roz ibadat Usey kehna,
Ye soch k bad-naam na ho jaon kisi din,
Kar li hai Tere Shehar se hijrat Usey kehna,
Mehki hai phir mere aangan mein raat ki raani,
Jaagi hai Tere awaz ki hasrat Usey kehna..

Suno December

Naye hekayat mohabbaton ke
shikayatoon ke
bhujay bhujay say haroof lay kar
kohar mayn doobi seyaahoon kay
warq warq per utaarna hay
udaas shamoo'n kay phool chun kar
suno December
ussay pukaaro
ussay bulaaoo
suno December .. ussay mila do
ab is say pehlay kay saans niklay
ab is say pehlay kay saal guzray
wohe lakeerayn wohe sitara
mere lakeroon mayn qaid kar do
ya aakhri shab kay aakhri pal
koi bara ikhtetaam kar do
yeh zindagi bhi tamaam kar do
suno December .. ussay mila do ...
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
type='text/javascript'/>