Search DogarPak

Labon pe Phool khilte hain kisi ke Naam se pehle


Labon pe Phool khilte hain kisi ke Naam se pehle,
Dilon ke Deep jalte hain Chiragh-e-Shaam se pehle,

Kabhi Manzar badalne par bhi Qissa chal nahi pata,
Kahaani khatam hoti hai kabhi Anjaam se pehle,

Ye hi Taare Tumhaari Aankh ki Chilman mein rehte the
Ye hi Suraj nikalta tha Tumhare Baam se pehle

Hui hai Shaam Jungle mein Parinde laut-te honge
Ab inko kis tarah roke Nawaah-e-Daam se pehle

Ye saare Rang Murdaa the Tumhaari Shakl banne tak
Ye Saare Harf Muhmal the Tumhaare Naam se pehle

Hua hai wo agar Munsif to Ahtiyatan Hum,
Saza Tasleem karte hain kisi Ilzam se pahle..!

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
type='text/javascript'/>