Bina Ik Lafz Bolay Wo Gaya Or Phir Nahi Aaya
bazahir aam lehjay main
kaha tha main ne jab us se
“badal lo raasta apna
juda rahain yaheen karlo
hamaray chahnay na chahnay se
kuch nahi hota
ye hi sach hai ke hum do mukhtalif
raston ke raahi hai
to phir kion dil ki manain hum
shuru main manti hoon main
azziyat dil ko pohanchay gi
magar phir waqt guzray ga
sabhi zakhmon ko bhar de ga”
meray is aam se lehjay pe wo
ik pal ko chonka tha
meri aankhon main aankhain daal kar
hairat se poocha tha
“ye sab jo keh rahi ho khud ko ye samjha bhi pao gi?”
bohat hi jee karda kar ke
main us dam muskuraii thi
bohat khud pe jabar kar ke
main us se keh ye payi thi
“meri tum fikr rehnay do
sambhal jaoon gi main khud hi
sabhi zakhmon ko sii loon gi
bhula kar sari batoon ko
akaili bhi main jee loon gi”
buhat hi be yaqeen aakhoon se
us ne mujh ko dekha aur
Bina ik lafz bolay wo gaya or phir nahi aaya
aur ab tark_e_taalluq ko
agarche umar beeti hai
magar is dil pe us ki zaat ka
jo naqsh qaaim tha
kabhi dhundla nahi hota
mujhay mehsoos hota hai
ke jaisay meray kanoon main
wo apni bolti aankhoon se
sargoshi si karta hai
“WO SAB JO KEH RAHI THEEN
KHUD KO WO SAMJHA BHI PAI HO?”
No comments:
Post a Comment