Search DogarPak

Showing posts with label Urdu Poetry {M}. Show all posts
Showing posts with label Urdu Poetry {M}. Show all posts

Mere junon ka nateja zaror nikly ga


Mere junon ka nateja zaror nikly ga,

Issi siyah samundar se noor nikly ga,

Gira diya hy to sahil pay intazar na kar,

Agar wo Doob gya hay to door nikly ga,

Usi ka shehar
wohi muda'e,
wohi munsif,

humain yaqen tha humara hi qasor niklay ga,

Yaqen na aye to ek bat poch ker dekho,

Jo haNs raha hy wo zakhmoN se choor niklay ga

Mujhe hukam hua kuch aur mang - Submited by Ramiz Dogar

Mujhe hukam hua kuch aur mang us k siwa "Mohsin"
Main dast-e-dua se uth gaya k dua kuch b nahi us k siwa.



Posted: 16/11/2011 23:34:57 by Ramiz Dogar

Mere Pyase Khwab Jazeeron Pr

Mere Pyase Khwab Jazeeron Pr
Umeed Tarapti Rehti Hy

Ek Sawan Aag Lgata Hy
Bin Barsy Guzry Jata Hy

Ye Jeewan Tanha Rahain Sooni Sooni Si
Meri Jagi Jagi Ankho Ko
Q Hr Pal Chubhti Rehti Hain

Ksi Hamdam Ki Ksi Raah Ki
Umeed Me Jagti Rehti Hain

Dil Seeny K Is Pinjry Me
Q Be'kal Be'kal Rehta Hy
Khamoshi K Is Pardy Me
Jany Mujh se Kya Kehta Hy

Hum Khush Hain Bohat
Ye Baat Alag
Hr Saans Sisakti Rehti Hy.!!!

Mujhe Yaad Koi Dua Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le

Mujhe Yaad Koi Dua Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,
Tu Meri Jabeen Pe Likha Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,

Abhi Rasta Bhi Hai Dhool Main Abhi Faida Bhi Hai Bhool Main,
Abhi Mujh Ko Tujh Se Gila Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,

Main Janam Janam Se Naraz Hoon Main Janam Janam Se Udaas Hoon,
Main Khabi Bhi Khul Ke Hansa Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,

Tu Hai Khwab Khwab Pukarta Meri Ankh Main Nahin Ashk Bhi,
Main Muddaton Se Jiya Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,

Tujhe Khushbuoon Ki Hai Arzoo Tujhe Roshni Ki Hai Justujo,
Main Hawa Nahin Diyya Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,

Tujhe Ansuoon Ka Pata Nahin Tujhe Ratjagon Ka Guman Nahin,
Tujhe Es Se Agay Pata Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,

Kahin Chhoot Sakta Hai Darmiaan Na Zameen Mile Gi Na Asmaan,
Tujhe Rastay Ka Pata Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,

Mujhe Dhoondta Hi Phire Ga Tu Na Jiye Ga Roz Maray Ga Tu,
Main Kabhi Bhi Ghar Pe Mila Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,

Kahan Lautna Hai Kise Yahan Merey Dard Sun Mere Meharban,
Mere Paas Waqt Zara Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le...!!

Muqadar sey kaho phir sey sitam eijad mat KaRNa

Muqadar sey kaho phir sey sitam eijad mat KaRNa
Koi Aabad hai dil mein, osey barbad mat KaRNa

Wo ik shab khuwab sa ban kr utr aye ga Aankhon mein
Ye palkein mond lena aur osko yaad mat KaRNa

Hansi mein hi urra dey ga zamana dil ki baaton ko
Kisi ke samney bhi paish tum rudad mat KaRNa

Riha ho kar gohar palkon sey mil jaty hain mitti mein
Mujhe qaid-e-mohabat sey kabhi Aazad mat KaRNa

Issi mausam mein dil ke kaafley lut'ty huwe dekhy
In ankhon mein gulabon ko kabhi Aabad mat KaRNa...

Mujhe Arzoo e Sehar Rahi

مجھے آرزوئے سحر رہی
یونہی رات بھر بڑی دیر تک
نہ بکھر سکا نہ سمٹ سکا
یونہی رات بھر بڑی دیر تک
تھا بہت عذاب اور اکیلے ہم
شب غم بھی میری طویل تر
رہی زندگی بھی سراب اور
رہی آنکھ تر بڑی دیر تک
یہاں ہر طرف ہے عجب سماں
سبھی خود پسند سبھی خود نماں
دلِ بیقرار کو نہ مل سکا
کوئی چارہ گر بڑی دیر تک
مجھے زندگی ہے عزیز تر
اسی واسطے مرے ہم سفر
مجھے قطرہ قطرہ پلا زہر
جو کرے اثر بڑی دیر تک

Mujhe Bhulanay Ka Jis Waqt BHi Faisla Karna

Mujhe Bhulanay Ka Jis Waqt BHi Faisla Karna
Phir Apni Aankhon Se Khuwaabon Ko Bhi Riha Karna..

Bas Aik Tum Ho Jisay Dil Ki Baat Kehtay Hain
Hamari Baaton Ka Sab Se Na Tazkara Karna..
 
Chunay Hain Hum Ne Kuch Ajnabi Raastay
Jo Ho Sakay To Hamaray Liye Dua Karna..

Gar Judai Ka Poochay Koi Sabab Tum Se
To Hum Pe Nit Naye Ilzaam Dhar Liya Karna..

Hum Aisy Qabeelay Mein Reh Rahay Hain MOHSIN..!!
Jahan K Logon Ne Seekha Hai Sirf Wafa Karna...

Mujhay apne zabt pe naaz tha

 Mujhay apne zabt pe naaz tha,sar-e-bazm raat yeh kia huwa
Meri ankh kaise chalak gai, mujhay gham hay yeh bura hua

Meri zindagi ke cheragh ka, ye mezaj kuch naya nahin
Abhi roshni abhi teergi, na jala hua na bujha hua

Mujhay jo bhi dushman -e-jaan mila, woh pukhta kaar jafa mila
Na kisi ki zarb ghulut parri, na kisi ka waar khata hua

Mujhay raastay main parra hua, aik ajnabi ka khat milla
Kahin khoon-e-dil se likha hua, kahin aansoan se mita hua

Mujhay humsafer bhi mila koi,sitem zareef meri tarah
Kai manzilon ka thakka hua, kahin raaston ka luta hua

Mujhay is ka koi bhi haq nahin, ke main shareek-e-bazm- e-khaloos hoon
Na meray pass koi niqab hai, na kuch asteen main chupa huwa

Yeh jo sar jhuka ke guzar gaye, meray samnay se abhi abhi
Meray apnay shehar ke log thay, meray ghar se ghar tha mila huwa

Mujhay ap kiyun na samajh sake ye khud apnay dil se poochiye
Meri zindagi ki kitab ka warq warq hai khula hua
(SUBMIT YOUR POETRY)

Main uski zaat pe aisy yaqeen rakhti hon - Parveen Shakir

Main uski zaat pe aisy yaqeen rakhti hoon
K jaise paon k neechy zameen rakhti hoon
Haqeeqaton ki to badsoorti hai apni jagah
Magar main khowab bohat dilnasheen rakhti hoon
Ye naaz hai k koi nadaan mera dushman nahi
Ye fakhar hai k main dost bohat azeem rakhti hoon

Mohabat khud batati hai

Mohabat khud batati hai
Kahan kiska thikana hai
Kisay aankhon main rakhna hai
Kisay dil main basana hai
Reha karna hai kisko aur
Kisay zanjeer karna hai
Mitana hai kisay dil say
Kisay tehreer karna hai
Issay malom hota hai
Safar dushwar kitna hai
Kisi ki chasm-e-girya main
Chupa iqrar kitna hai
Shajar jo girnay wala hai
Wo saya daar kitna hai
Mohabbat khud batati hai
Kahan kiska thikana hai

Maktab-e-Ishq main pesh aay "Sawalon" ki tarah


Maktab-e-Ishq main pesh aay "Sawalon" ki tarah,,,

Hum pareshan hi rahe apne "Khayalon" ki tarah,,,

Jab b anjaam-e-mohabat ne pukara khud ko,,,

Waqt ne pesh kiya hum ko "Misaalon" ki tarah,,,

Zikr jab ho ga mohabat mein tabaahi ka kahin,,,

Yaad "Hum" aayen ge duniya ko "Hawaalon" ki tarah.,!!

Mana K Tere Dil Mein Koi Aur Makeen Hai

Mana K Tere Dil Mein Koi Aur Makeen Hai
Tu Phir Bhi Mera Gham Hai, Aqeeda Hai, Yakeen Hai


Ye Aainey Tujhe Teri Khabar De Na Sakein Gay
A Dekh Meri Ankh Mein Tu Kitna Haseen Hai

Mein Jabar K Sajdoon Mein Kahin Toot Na Jaoun
Pathar K Khudao Meri Sheeshay Ki Jabeen Hai

Palkon Se Tarasha Tha Ae Dost Hum Ne Jo Heera
Mat Pooch Ab Woh Kis Ki Angoothi Ka Nageen Hai

Mere naseeb ne jab mujh se intaqaam liya

Mere naseeb ne jab mujh se intaqaam liya
kahan kahan teri yaadon ne haath thaam liya
fiza ki aankh bhar aai hawa ka rang uraa
sukuut-e-shaam ne chupake sai tera naam liya
wo main nahi tha ek harf bhi na keh paya
wo bebasi thi ke jis ne tera salaam liya
har ek Khushi ne tere Gam ki aabaru rakhali
har ek Khushi se tere Gam ne inteqaam liya

Main jab bhe teri yadoon ka sahara tham leta hoon


Main jab bhe teri yadoon ka sahara tham leta hoon
Bhula deta hon dar-o-ghum zara aram leta hoon
Na janey kon sa jazba mujhe majboor karta hai
Main aksar bekhudi main bhe tumhara naam leta hoon
Yaqeen karta nahin koi bhe meri be'gunahi ka
Main khud chup chap apni sar hazaar ilzam leta hoon
Mujhe har bat pe rona kabhe acha nahin lagta
Ise khatir main apnay ghum hansi main taal deta hoon

Mujhe Zindagi Mai Ya Rab... Urdu Poetry

Mujhe Zindagi Mai Ya Rab Sar-E-Bandagi Ata Ker
Meray Dil Ki Be-Hisi Ko Gham-I-Aashiqi Ata Ker

Teray Dard Ki Chamak Ho, Teri Yaad Ki Kasak Ho
Meray Dil Ki Dharkano Ko Nai Be-Kali Ata Ker

Jo Tujhi Se Lo Laga De, Jo Mujhey Mera Pata De
Meray Ahed Ki Zuban Mai Mujhe Gum- Rahi Ata Ker

Jo Dilon Mai Noor Ker De Wo Hi Roshini Ata Ker

Mai Safr Mai So Na Jaon ,Mai Yahin Pe Koh Na Jaon
Mujhe Zoq-O-Shoq-I-Manzil Ki Hama-Hami Ata Ker

Bari Duur Hai Abhi Tak Rag-I-Jan Ki Musafat,
Jo Dia Hai Qurb Tu Ne Tu Shahor Bhi Ata Ker

Bhari Anjuman Mai Rah Ker Na Hua Aashana Kisi Se
Mujhe Doston K Jhurmat Mai Wo Be Kassi Ata Ker

Mujhe Teri Justo Jo Ho, Meray Dil Mai Tu Hi Tu Ho
Meray Qalab Ko Wo Faiz –I-Dar-Aarfi Ata Ker......!!

Mil kr jana bhool gia - Urdu Poetry


Apni Yadain,apni Batain Le Kr Jana Bhool Gia,

janay Wala Jaldi Main Tha Mil Kr Jana Bhool Gia,

mur Mur K Dekha Tha Usnay Jatay Rustay Main ,

jaisay Usnay Kch Kehna tha Jo Wo Kehna Bhool Gia,

meri aankhain Poonch Raha Tha Aanchal Se,

usko gham Tha Itna ziada Khud Wo Rona bhool gia,

wqt K Behtay Dharay Main Kesi Hum Ne Ghaflat Ki,

main Bi Kehna Bhool gia wo Bi rukna bhool gia,

Mil kr jana bhool gia - Urdu Poetry


Apni Yadain,apni Batain Le Kr Jana Bhool Gia,

janay Wala Jaldi Main Tha Mil Kr Jana Bhool Gia,

mur Mur K Dekha Tha Usnay Jatay Rustay Main ,

jaisay Usnay Kch Kehna tha Jo Wo Kehna Bhool Gia,

meri aankhain Poonch Raha Tha Aanchal Se,

usko gham Tha Itna ziada Khud Wo Rona bhool gia,

wqt K Behtay Dharay Main Kesi Hum Ne Ghaflat Ki,

main Bi Kehna Bhool gia wo Bi rukna bhool gia,
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
type='text/javascript'/>