Search DogarPak

Showing posts with label Urdu Poetry {U}. Show all posts
Showing posts with label Urdu Poetry {U}. Show all posts

Usay kehna December ja raha hy




Usay kehna December ja raha hy

December k guzrtay he,

baras ik aur maazi ka,

fiza main doob jae ga

Usay kehna

December k guzarnay say zra pehlay

muhabbat ki kahani ko,

koi takmeel day jana

Usay kehna

December ka mahina jesay guzray ga

Umeedain doob jayen gi

wo sapnay toot jayen gay

Usay kehna

December k guzarnay say zra pehlay

Muhabbat ko koi tabeer day jaay

Usay kehna

Muqadar ko Hmaray doob janay sy bacha lena

Usay kehna

December ja raha hy

Ye bhi aik udasi hy

Chup chup rehna kuch na kehna
Ye bhi aik udasi hy,
Hans k saaray sadmay sehna
Ye bhi aik udasi hy,
Bethay bethay kho sa jana yun he door khayalon mein,
Chaltay chaltay hanstay rehna
Ye bhi aik udasi hy,
Dil ki batain sun kr hansna ye to sb ki aadat hy,
Ghum ki baat pe hanstay rehna
Ye bhi aik udasi hy,
Maar k kankar lehrain gin’na beth k jheel kinaray per,
Kuch logoun ka hy ye kehna
Ye bhi aik udasi hy…!!

Uthani Hay jo Nafrat ki Dewaar Utha, Bismillah

Uthani Hay jo Nafrat ki Dewaar Utha, Bismillah
Meri Sachi mohabbat Se tu Kar Inkar Bismillah
Kaha Us ne Meri Khatir Yeh KOH-E-GHAM uthao Gay?
Jawaban Hum Bhi Bol Uthay Mere Dildar Bismillah
Jahan Ko Chorr Kar Jab Hum Tere koochay Main Aa Bethay
To Phir Sang-e-malamat saho kion INkar Bismillah
Pujari Zar K Ho TO Hath Main sach ka Aalam kion hai
Agar Mansoor Ho to Phir Ye Sang-o-Daar Bismillah
humain To Ehd-e-Ulfat ko Qayamat Tak nibhana hay
Wo rehta hay agar hum se rahe Bezaar Bismillah
Kaha Us ne Mujhe Mohsin Sar tera Qalam Kar Dun
Mo'addab ho k keh Baitha mere SARKAR Bismillah...

Udas dil ki, Udas batain,

Udas dil ki, Udas batain,
samajhnay wala, Koi to hota,
k jis ki baton se, dil sambhalta,
k jis ki sangat main, dil behelta,
k jis ki choti si ik jhalak bhi,
hamary dil ko samait deti,
falak se khushiyan undail deti,
ya us ki nazuk si muskurahat,
hamary dil ki shabhi thakawat, utar deti,
ya phir chamakti, wo ankhain uski,
hamari hasti ka raz hotin,
hamary dukh ki kitab hotin,
jo ham ko chahta, hamee ko parhta,
guzartay lamhoon ki sakhtioun main,
koi to nazuk mizaj hota,
koi to hota.............!

Us Simt Ko Chale Ho To, Itna Use Kehna

Us Simt Ko Chale Ho To, Itna Use Kehna....... !
Ab Koi Nahi Harf-E-Taman'na, Use Kehna....... !
Tum Ne Hi Kaha Tha To, Yaqeen Mujh Ko Hua Tha....... !
Chahat Nahi Hoti Kabhi, Ruswa Use Kehna....... !
Duniya To Kisi Haal Mein, Jeene Nahi Deti....... !
Umeed Pe Qaaim Hai Ye, Duniya Use Kehna....... !
Zarkhaiz Zameen To Kabhi, Banjar Nahi Hoti....... !
Dariya Hi Badal Lete Hain, Rasta Use Kehna....... !
Kuch Loog Safar Ke Liye, Mouzoon Nahi Hote....... !
Kuch Raaste Kat'te Nahi, Tanha Use Kehna....... !

Udaas shamon mein... Urdu Poetry


Udaas shamon mein woh laut aana bhol jata tha,
Kar k khafa mujhko manana bhol jata tha,

Inhi khaslaton ne uski mujhe badnam kar dala,
Wo likh k naam dewaron pe mitana bhol jata tha,

Mat poch muhabat mein la parwahi uski,
Dy k zakhm wo marham lagana bhol jata tha,

Kitna dilnashin hota tha uski yaad ka manzar,
Wo jab bhi yaad aata tha zamana bhol jata tha...
more poetry ........ 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
type='text/javascript'/>