Udas dil ki, Udas batain,
samajhnay wala, Koi to hota,
k jis ki baton se, dil sambhalta,
k jis ki sangat main, dil behelta,
k jis ki choti si ik jhalak bhi,
hamary dil ko samait deti,
falak se khushiyan undail deti,
ya us ki nazuk si muskurahat,
hamary dil ki shabhi thakawat, utar deti,
ya phir chamakti, wo ankhain uski,
hamari hasti ka raz hotin,
hamary dukh ki kitab hotin,
jo ham ko chahta, hamee ko parhta,
guzartay lamhoon ki sakhtioun main,
koi to nazuk mizaj hota,
koi to hota.............!
samajhnay wala, Koi to hota,
k jis ki baton se, dil sambhalta,
k jis ki sangat main, dil behelta,
k jis ki choti si ik jhalak bhi,
hamary dil ko samait deti,
falak se khushiyan undail deti,
ya us ki nazuk si muskurahat,
hamary dil ki shabhi thakawat, utar deti,
ya phir chamakti, wo ankhain uski,
hamari hasti ka raz hotin,
hamary dukh ki kitab hotin,
jo ham ko chahta, hamee ko parhta,
guzartay lamhoon ki sakhtioun main,
koi to nazuk mizaj hota,
koi to hota.............!
No comments:
Post a Comment