Search DogarPak

Udaas shamon mein... Urdu Poetry


Udaas shamon mein woh laut aana bhol jata tha,
Kar k khafa mujhko manana bhol jata tha,

Inhi khaslaton ne uski mujhe badnam kar dala,
Wo likh k naam dewaron pe mitana bhol jata tha,

Mat poch muhabat mein la parwahi uski,
Dy k zakhm wo marham lagana bhol jata tha,

Kitna dilnashin hota tha uski yaad ka manzar,
Wo jab bhi yaad aata tha zamana bhol jata tha...
more poetry ........ 

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
type='text/javascript'/>