Search DogarPak

Showing posts with label Urdu Poetry {E}. Show all posts
Showing posts with label Urdu Poetry {E}. Show all posts

Ek aarzoo hai puri parwardigar kare

Ek aarzoo hai puri parwardigar kare,
Men dair se jaon wo mra intzar kre.
Apne hathon se sanwarun zlfein uski,
Wo shrma kr mhabat ka iqrar kre.
Lipat jay mjhse aalm-e-madhoshi men,
Or josh-o-janun men mhabat ka izhar kre.
Ho shab-e-wisal aesi ya RAB!,
K bheegi zulfon se mujhe bedaar kre.
Jab use chor k jana chahun Wasi,
Wo roke or ik raat ka israr kre,
“Qasam khuda ki main kisi or ki ho nhi sakti”,
Ye wada-e-wafa wo bar bar kre...

Ek larki by Amjad Islam Amjad

 Ek larki
Gulab chehray pay muskurahat
Chamkti ankhon mein shokh jazbay
Wo jab bhi college ki serhiion say
Sahailion ko liye utarti
Tu esay lagta k dill mein utar rahi ho
Kuch is yaqeen say bat karti
K jesay duniya usi ki ankhon say dekhti hay
Wo apnay rastay pay dill bichati hoey nigaahon say hans kay kehti
Tumharay jesay bohat say larkon say mein yeh batein
Bohat say barsoon say sun rahi hon
Mein saahilon ki hawa hon , neelay samndroon k lye bani hon
Wo sahilon ki hawa si larki
Jo raah chalti tu esa lagta kay jesay dill mein utar rahi ho
Ko kal mili tu usi tarha thi
Gulaab chehray pay muskurahat , chamkti ankhon mein shokh jazbay
K jesay chandi pighal rahi ho
Magar wo boli tu uss k lehjay mein wo thakan thi
K jesay sadion say dasht-e-zulmat mein chal rahi ho
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
type='text/javascript'/>