Ek larki
Gulab chehray pay muskurahat
Chamkti ankhon mein shokh jazbay
Wo jab bhi college ki serhiion say
Sahailion ko liye utarti
Tu esay lagta k dill mein utar rahi ho
Kuch is yaqeen say bat karti
K jesay duniya usi ki ankhon say dekhti hay
Wo apnay rastay pay dill bichati hoey nigaahon say hans kay kehti
Tumharay jesay bohat say larkon say mein yeh batein
Bohat say barsoon say sun rahi hon
Mein saahilon ki hawa hon , neelay samndroon k lye bani hon
Wo sahilon ki hawa si larki
Jo raah chalti tu esa lagta kay jesay dill mein utar rahi ho
Ko kal mili tu usi tarha thi
Gulaab chehray pay muskurahat , chamkti ankhon mein shokh jazbay
K jesay chandi pighal rahi ho
Magar wo boli tu uss k lehjay mein wo thakan thi
K jesay sadion say dasht-e-zulmat mein chal rahi ho
No comments:
Post a Comment