Search DogarPak

Wo Bazahir Jo Zamaney Se Khafa Lagta Hai

Wo Bazahir Jo Zamaney Se Khafa Lagta Hai.
Hans K Bolay Bhi To Duniya Se Juda Lagta Hay.

Aur Kuch Dair Na Bujhne De Isay Rab-e-Saher.
Doobta Chand Mera Dast-e-Dua Lagta Hai.

Jis Se Munh Phair K Rastey Ki Hawa Guzri Hai!
Kisi Ujray Hue Aangan Ka Diya Lagta Hai.

Ab K Sawan Mein Bhi Zardi Na Gayi Chehroon Ki.
Aise Mausam Mein To Jungle Bhi Hara Lagta Hai.

Shaher Ki Bheer Mein Khultey Hein Kahan Us K Naqoosh.
Aao Tanhai Mein Sochein K Woh Kia Lagta Hai.

Munh Chupaye Hue Guzra Hai Jo Ehbaab Se Aaj.
Uski Aankhon Mein Koi Zakhm Naya Lagta Hai.

Ab To Mohsin K Tassawar Mein Utar Rab-e-Jaleel.
Is Udasi Mein To Pathar Bhi Khuda Lagta Hai.

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
type='text/javascript'/>