Kabhi gham ki aag main jal uthay Kabhi Dil ka daagh jala diya
Ay junoon-e-Ishq bata zara muje Kyun Tamasha Bana Diya
Ghame-e-Ishq Kitna Ajeeb hai Ye junoon se kitna Qareeb Hai
Kabhi Ashk Palkon pe ruk gaye Kabhi main ne Darya baha diya
Mera jazba-e-shouq tou daikhye Meri bandagi hai wo Bandagi
Jahan tera Naqsh-e-Qadam mila Wahin kaaba main ne bana diya
Abhi kar rahe ho tum ibteda mera keh raha hai Tajruba
Tumhain Zindagi ki hai aarzoo, Mujhe zindagi ne mita diya

No comments:
Post a Comment