Search DogarPak

Ik shakhs ko chaha tha, taaron ki terhan hum ne

Ik shakhs ko chaha tha, taaron ki terhan hum ne
Ik shakhs ko chaha tha, apnon ki terhan hum ne
Ik shakhs ko samjha tha, phoolon ki terhan hum ne
Wo shakhs qayaamat tha, kya uski keren baatain
Din us k liay Pieda aur uski hi thi raatain
Kab milta kisi se tha,hum se thi mulaakatain
Rang uska shahabi tha,zulfon mai thi mah’kaarain
Aankhein thi k jaadu tha,palkain thi k talwaarain
Dushman bhi ager dekhe,sou jaan se dil haaray
Kuch tum se wo milta tha,baton mai shabahat thi
Han tum sa he lagta tha,shokhi mai shararat mai
Lagta bhi tum hi sa tha,dastoor-e-muhabbat mai
Wo shakhs humain ik din,apnon ki terhan bhoola
Taaron ki terhan dooba,phoolon ki terhan toota
Phir haath na aya wo,hum ne bohat dhoonda
“Tum kis liay chonkay ho?”
Tum kis liay chonkay ho,kab zikr tumhara hai
kab tum se takaaza hai,Kab tum se shikayat hai,
Ik taaza hikaayat hai,sun lo tou inaayat hai
Ik shakhs ko dekha tha taaron ki terhan hum ne
Ik shakhs ko chaha tha apnon ki terhan hum ne
Ik taaza hikaayat hai,sun lo tou inaayat hai...

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
type='text/javascript'/>