Search DogarPak

Be-khwaab zindagi ka Paristaar kaun tha

 
Be-khwaab zindagi ka Paristaar kaun tha,
Itni udaas raat mein bedaar kaun tha.
Kisko ye fikr thi K mohabbat mein kya hua,
Hum is pe lad rahe thay… wafaadaar kaun tha.
Sau kashtiyaan jalaa K Chale saahilon se hum,
Ab tumko kya bataayen K us paar kaun tha.
Ye faisla toh waqt b shaayad na kar sakay,
Sach kaun bolta tha, Adakaar kaun tha.
Arsa guzar gaya hai yahi sochte hue,
Apna kahoon kisay, mera gham-khwaar kaun tha ????
(SUBMIT YOUR POETRY)

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
type='text/javascript'/>