Search DogarPak

Zamane bhar ke kamon mein bohat masroof ho shayd

Zamane bhar ke kamon mein bohat masroof ho shayd
Hamari yaad bhi ab to tumhain kam satati hai
Hamara naam bhi aksar tumhain ab bhool jata hai
Tumhari aankh ko ab to koi sapna nahi dikhta
Tumhare dil ko bhi ab to koi chehra nahi jachta
...Tumhara naam lete thay jo har har saans ke hum'rah
Jisey tum dil ki har dharkan ki tarah yaad rakhte thay
Ussi ko bhool janey ka yehi matlab hua na phir
Zamane bhar ke kamon mein bohat masroof ho shayd...

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
type='text/javascript'/>