Kaho,
woh dasht kaisa tha?
Jidhar sub kuch luta aaye
Jidhar aankhain ganwa aaye....
Kaha,
sailab jaisa tha,
bohot chaha keh bach niklain magar sub kuch baaha aaye
Kaho,
woh hijer kaisa tha?
Kabhi choo ker usay dekha
To tum nay kia bhala paya
Kaha,
bus aag Jaisa tha,
usay choo ker to apni rooh ye tann mann jala aaye
Kaho,
woh wasl kaisa tha
Tumhain jab chuu liya us nay
To kya ehsas jaga tha?
Kaha,
ik raastay jaisa,
jidhar say bus guzarna tha, makan lekin bana aaye
Kaho,
woh chand kaisa tha?
Falak say jo uttar aaya!
Tumhari aankh main basnay
Kaha,
woh khawab jaisa tha,
nahi taabeer us ki, usay ik shab sula aaye
Kaho,
woh ishq kaisa tha?
Bina perkhay kia jo tum nay
Kaha,
titlii k rang jaisa,
bohat kachaa anokha sa, jabhi us ko bhula aaye
Kaho,
woh naam kaisa tha?
Jisay sehraaon aur chanchal
Hawaon per likha tum nay
Kaha,
bus mosmoon jaisa,
na janay kis tarha kis pal kisi ro main mita aaye
Suno,
khawahishon ki lehron per sambhalna kion hua mushkil?
Bataya ,
paanion per khawab ki rakhi bena jaisay
Bhala tum rooh ki in kirchion main dhoondtay kia ho?
Kaha,
yeh itni roshan hain keh sooraj ha diya jaisay
Suno aankhon hi aankhon ka bayan kesay laga tum ko?
Laga,
phoolon say sargoshi si kerti ha saba jaisay.........!!
No comments:
Post a Comment