Search DogarPak

Showing posts with label Urdu Poetry {S}. Show all posts
Showing posts with label Urdu Poetry {S}. Show all posts

Suno December

Naye hekayat mohabbaton ke
shikayatoon ke
bhujay bhujay say haroof lay kar
kohar mayn doobi seyaahoon kay
warq warq per utaarna hay
udaas shamoo'n kay phool chun kar
suno December
ussay pukaaro
ussay bulaaoo
suno December .. ussay mila do
ab is say pehlay kay saans niklay
ab is say pehlay kay saal guzray
wohe lakeerayn wohe sitara
mere lakeroon mayn qaid kar do
ya aakhri shab kay aakhri pal
koi bara ikhtetaam kar do
yeh zindagi bhi tamaam kar do
suno December .. ussay mila do ...

Shikayt kiya krun dono tarf gham ka fasana hay

Shikayt kiya krun dono tarf gham ka fasana hay
mere aage muhabbat hay tere aage zamana hay
pukara hay tujhe manzil ne lekin main kahan jaaon?
Bichharr kar teri dunya se kahan mera thikaana hay
mubarak ho tujhe jaan-e-wafa majburiyaan teri.
Mujhe to zindagi bhar piyar ka waada nibhaana hay

Suno! ham zamane se darne lage hain

Suno! ham zamane se darne lage hain
mohabbat jo ham tum se karne lage hain
Yeh qandeelain aankon ki bhujne lagi hain
k aankhon main darya utarne lage hain
yeh be-waqt mosam ke taver kare kion
yeh pattay kion shakhon pe marne lage hain
guloon se hai shikwa na kharoon se ranjhash
hamain mat smaito, bhikharne lage hain
hamain ab nahi hai zamane ki hashrat
akaile jo ham batain karne lage hain
mairi jan judai main jalne lage hain
k ratoon ko uth uth k darne lage hain

Shaam Dhalay Nam-Naak Sarrak Per

Shaam Dhalay Nam-Naak Sarrak Per
Barf Si Rangat Wali Larrki
Kis Ka Rasta Dekh Rahi Hai
Khirrki Khol Kay Main Kya Poochon
Kah Day Gi Woh Nain Chura Kar
Dunya Kitna Shak Karti Hai
Kaan Ka Baala Dhoond Rahi Hoon

Safr_e_WAFA ki raah mai Manzil jafa ki thi...

 Safr_e_WAFA ki raah mai Manzil jafa ki thi... 
kaghaz ka ghar bna k b Khawhish hwa ki ki thi... 
thi jugnu'on k shehr main taroon sy dushmani... 
Ma'shook Chaand tha aur tamana Subah ki thi... 
tum ny to ibadat ka tmasha Bana Dia....
Chahat ''Namaz'' ki thi, pr AAdAT '''Qaza'' ki thi... 
Main ny to zindagi ko ''tere'' naam likha tha.. 
Shayad ''Mgr kuch aur or hi Marzi ''KHUDA ki thi... 
Dard hi Dena tha to pehly bta Dety... 
hum ko B azal sy Tamana'' hi Saza kiiii thiii,,....!!!

Sari Duniya K Riwaajon Se Adawat Ki Thi


Sari Duniya K Riwaajon Se Adawat Ki Thi,
Tum Ko Yaad Hai Jab Maine Ik Himaqat Ki Thi.

Use Raaz-Daan Samajh Kar Bataya Tha Haal-e-Dil Apna,
Par Us Shaks Ne Meri Zaat Se Baghawat Ki Thi.

Jab Kisi Ki Yaad Ne Aankhon Ko Bhigoya Tha Meri,
Maine Ik Naam Ki Tasbeeh Pe Tilawat Ki Thi.

Usko Chor K Hanste Hue Ghar Aa K,
Itna Roye The K Aankhon Ne Qayamat Ki Thi.

Mere Ujarne Ka Sabab Jab Bhi Kisi Ne Pocha "Mohsin",
Maine Bus Itna Bataya K "Mohabbat" Ki Thi.

Suna hai is Mohabbat mein bohat Nuksan hota hai


Suna hai is Mohabbat mein bohat Nuksan hota hai
Mehkta jhomta jeevan Ghamon k Naam hota hai

Suna hai Chain kho kar wo Sehar se Sham Rota hai
Mohabbat jo b Karta hai Boht Badnaam hota hai

Suna hai is Mohabbat mein kahin B Dil nahi lagta
Bina us ke Nigahoon mein koi mosam nahi juchta

Khafa jis se Mohabbat ho Wo jeevan bhar nahi hansta
Bohat anmol hai ye DIL ujjar kar phir nahi Basta

SUNO Tum to Azm waley ho

SUNO,,,!!!!
Tum azm waley ho,,,
Bala ka zabt rakhty ho,,,
Tumhen kuch bhi nahi ho ga,,,,
Mager socho,,
..Jisey tm chorr jaty ho,,,,
Usey to theek se shayed,,,
Bicharrna bhi nahi aata,,!!!

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain.... Urdu Poetry


Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain
So us ke shahar main kuchh din thahr ke dekhtay hain

Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apnay aap ko barbad karkay dekhtay hain

Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki
So ham bhi us ki gali se guzar kar dekhtay hain

Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf
So ham bhi mojaze apnay hunar ke dekhtay hain

Suna hai bole to baton se phool jharatay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhtay hain

Suna hai raat use chand takta rehta hai
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain

Suna hai hashr hain us ki gazal si aankhain
Suna hai us ko hirn dasht bhar ke dekhtay hain

Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhtay hain

Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhtay hain

Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhtay hain

Suna hai us ke labon se gulab jalate hain
So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhtay hain

Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhtay hain

Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhtay hain

Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
Palang zawaiya us ki kamar ke dekhtay hain

Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain
Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhtay hain

Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhtay hain

Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhtay hain

Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht
Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhtay hain

Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain
Chalay to us ko zamanay thahar ke dekhtay hain

Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhtay hain

Khaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi
Agar woh khwab hai tabir kar ke dekhtay hain

Ab us ke shahar main tharain k kuch kar jayan
Faraz aao sitaray safr ke dekhtay hai............!
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
type='text/javascript'/>