Search DogarPak

Showing posts with label Urdu Poetry {K}. Show all posts
Showing posts with label Urdu Poetry {K}. Show all posts

Kaash aa jaaye, mujhe jaan se guzarte dekhe


Kaash aa jaaye, mujhe jaan se guzarte dekhe
us ki khwaahish thi kabhi mujkho bikharte dekhe
wo saleeqay se huwa mujh se gureyzan warna
log to saaf mohabbat se mukarte dekhe
tum ney dekha hey nikalta huwa sooraj logo
tum ne kuch khwaab suhaanay nahi marte dekhe
waqt hota hey har ik zakhm ka marham shayed
phir bhi kuch zakhm thay aesey jo na bhartay dekhe
aek sehmey huwey sahil ki tarha aankhon ne
kitne charhtey huwey toofan utarte dekhay

Kehnay Ko Muhabbat Hai Lakin

Kehnay Ko Muhabbat Hai Lakin
Ab aisi Muhabbat Kia Kerni…
Jo Neend Chura Le Ankhon Se

Jo Khawab Dikha K Pholon K
Tabeer Main Kantay De Jai
Jo Gham Ki Kali Raaton Se
Her Aas Ka Jugnu Le Jai
Jo Khawab Sajati Ankhon Ko
Aansu He Aansu De Jai
Jo Mushkil Ker De Jeenay Ko
Jo Marnay Ko Asaan Keray
Woh Dil Jo Pyar Ka Mandir Ho
Wo Yadoon Ko Mehman Kare

Ab Aisi Muhabbat Kaya Karni…
Jo Umer Ki Naqdi Le Jaey
Aur Phir Bhi Jholi Khali Ho
Woh Soorat DIL Ka Rog Bana
Jo Soorat Dekhi Bhaali Ho
Jo Qais Bana De Insan Ko
Jo Ranjha Aur Farhad Karay

Ab Aisi Muhabbat Kya Karni..?
Jo Khushiyon Ko Barbad Kare
Dekho To Muhabbat K Baray
Har Shakhs Yahi Kuch Kehta Hai
Socho To Muhabbat K Ander
Ik Dard Humesha Rehta Hai

Phir Bhi Jo Cheez MUHABBAT Hai
Kab In Baaton Se Darti Hai
Kab In K Baandhay Rukti Hai
Jis DIL Main Iss Ko Basna Ho
Yeh Chupkay Say Bas Jati Hai
AB AISI MUHABBAT KIA KARNI…???

Kisi Pathar Numa DIL Par B Dastak Ho Hi Jati Hy


Kisi Pathar Numa DIL Par B Dastak Ho Hi Jati Hy

K Hasrat Jag Jaye to Karamat Ho Hi Jati Hy

Kisi anjan Chehre Se,Kisi Purlutf Lamhe me

Jo Karna Na B Chaho To MOHABBAT Ho Hi Jati Hy

Kisi Khamosh Chehre Se Musalsal ashk Behne Pr

Chupana B Agr Chaho,Wazahat Ho Hi Jati Hy

Kisi K Dur Jane Pr Umyde Tut Jane Se

Wafa Me Rog Milne Ki ShiKayat Ho Hi Jati Hy

Ye Tmne B Suna Hoga Zmana Aise Kehta Hy

K Jb B Ishq Hota Hy,Bghawat Ho Hi Jati HY

Kamal-e-Zabt ka Malik, Nazar Shanas B Tha.

Kamal-e-Zabt ka Malik, Nazar Shanas B Tha.
Bicharr Raha Tha Achanak, To BadHawas B Tha,

Labon Pe KhoobSurat Tabassum Sajae Phirtha Tha,
Wo ek Shakhs jo Shayad Bht Uddas B Tha,

Main jis ki Yad ki Parchaaion me Gum hun abi Tk,
Wo Dastaras me Na Tha, Or Mere Pas B Tha..!

Kuch khuwab the meri ankhon main

Kuch khuwab thay meri ankhon main,
Tujhe pa lainy ki chahat thi,

Chand lafzon me hi khta hon,
Mujhe Tum se boht mohabbat thi'

Par tu kia jane chahat ko,
Tujhe ho jati to pochte hum,

Dil jab jab tot k rota hai,
Kya dard tumhain bhi hota hai ?

Ye khuwab haqeeqat ho jaye,
Kisi apne jese sang dil se,
aye KAASH tujhe MOHBAT HO JAYE..


Kabhi gham ki aag main jal uthay Kabhi Dil ka daagh jala diya

Kabhi gham ki aag main jal uthay Kabhi Dil ka daagh jala diya

Ay junoon-e-Ishq bata zara muje Kyun Tamasha Bana Diya

Ghame-e-Ishq Kitna Ajeeb hai Ye junoon se kitna Qareeb Hai

Kabhi Ashk Palkon pe ruk gaye Kabhi main ne Darya baha diya

Mera jazba-e-shouq tou daikhye Meri bandagi hai wo Bandagi

Jahan tera Naqsh-e-Qadam mila Wahin kaaba main ne bana diya

Abhi kar rahe ho tum ibteda mera keh raha hai Tajruba

Tumhain Zindagi ki hai aarzoo, Mujhe zindagi ne mita diya


Khush-haal se tum bhi lagtay ho

khush-haal se tum bhi lagtay ho
yun afsurdah tu hum bhi nahi

per jan-ne walay jaantay hain
khush hum bhi nahi,khush tum bhi nahi

tum apni khudi ke pehray may
aur daam gharoor may jakray hoay

hum apnay zuam ke narghay may
ana haath humara pakray hoay

ek muddat se halqan peechan
tum rabt guraiz ke dhaaroon may

hum apnay aap se uljhay hoay
pachtaaway ke angaaroon may

mehsoor-e-talatim aaj bhi ho
jo tum ne kinaaray dhoond liye

toofan se sambhlay hum bhi nahi
kehnay ko saharay dhoond liye

khamosh se tum, hum mehar ba lub
jo beet geay dukh baat keay

chalo khel adhoora chortay hain
bina chal chalay bina maat keay

jo bhagtay bhagtay thak jain
wo saay ruk bhi saktay hain

chalo toro qasam iqrar karain
hum dono jhuk bhi saktay hain

Khuda jany

"Wafa karny se mat Ghabra,
Sila jany Khuda jany
Diye Rah Mein Jalata Ja,
Hawa jany Khuda jany
Khizaan k khof se maali to buzdil Ho nahi jata
Chaman abaad rakh,Baad-e-Saba jany Khuda jany
Mareez-e-Ishq Ko Dilbar
Dawa ki kiya Zaroorat hay
Marz jany
Dava jany
Shifa jany
Khuda jany"

Koi tu hota By Hanif Bukhari

Koi tu hota
main jis k honton ki baat banta
Koi tu hota
main jis ki aankhon mein khaas banta
Koi tu hota
main uss ki khwahishon ka mehwer
wo meri un kahi baaton se bawer
wo gunj e aab main pyaas hota
Koi tu hota
andheri shab ka charag wo
ujalon ki dastan wo
hy kaash main bhi seher e natamam hota
Koi tu hota
wo meri zindagi ka aadi
main uss ki khoshbowon ka aadi
wo fasl e gul main tarab hota
Koi tu hota
Posted: 14/10/2011 0:25:09 by Hanif Bukhari

Kasam Ley Lo

Kasam Ley Lo
Tumharay Bin...
Kisi ka Khwaab dekha Ho,
Kisi ko Hum Ne chaha Ho,
Kisi ko Hum Ne Socha Ho,
Kisi ki Aarzu ki Ho,
Kisi ki Justujoo ki Ho,
Kisi ki Raah dekhi Ho,
Kisi Ko Sath Rakha Ho,
Kisi Se Aas Rakhi Ho,
Koi Umeed Baandhi Ho,
Koi dil Mein Utara Ho,
Koi Tum Se B pyara Ho,
Koi dil M¡Ne Basaya Ho,
Koi Apna Banaya Ho,
Koi Roottha Ho to Hm Ne
Usay Ro Kr Manaya Ho,,
Kisi Ka Gussa Jheila Ho,
Kisi Ki Yaad Ka Mosam,
Meray Aangan Mein Khaila Ho,
Kisi se Baat Karne Ko
Kabi Ye Hont Tarsay Hon,
Kisi ki Be-wafaai Par,
Kabhi Ye Nain Barsay Hon,
Kabhi Raaton Ko Utth Utth Kr,
Tere Dukh Mein Na Roye Hon,
Qasam Le Lo,Tumhary Bad..
Hum Ik Pall Bhi soye Hon...

kuch is adaa se aaj wo pehlo nasheen rahay

kuch is adaa se aaj wo pehlo nasheen rahay
jab tak hamaray paas rahay hum nahi rahay

ya-rub kise ki raaz e muhabbat ki khair ho
dast e junoon rahay na rahay aasteen rahay

dard-e-gham-e-firaq ke yeh sakht marhalay
hairaan hoon mein ke phir bhi tum itne haseen rahay

ja aur koi zabt ki dunya talaash ker
ay ishq hum to ub tere qabil nahi rahay

Allah re chashm-e-yaar ke maujiz bayanian
her ik ko hai gumaan ke mukhatib humhe rahay

is ishq ki talafi e mafaat dekhna
ronay ki hasratein hein jab aansu nahi rahay

kuch is adaa se aaj wo pehlo nasheen rahay
jab tak hamaray paas rahay hum nahi rahay
(SUBMIT YOUR POETRY)

Koi To Aaye

Koi To Aaye,

Chamakti Aankhon Se Mujhko Daikhy,
Zara Sa Chehky Zara Sa Bhehky,
Mairi Taraf Kuch Gulaab Phainky,
Lapak K Mujhko Galey Lagaey,

Koi To Aaye,

Jo Mairi Hasrat Mein Mubtila Ho,
Jo Meri Dharkan Ka Silsila Ho,
Jo Maire Lehjey Main Bolta Ho,
Tumhi Ho Maire Mujhay Bataey,

Koi To Aaaye,

Hon Jiski Ankhain Sharab Jaisi,
Hon Jiski Batein Gulaab Jaisi,
Ho Jiski Soorat Kitaab Jaisi,
Nazar Milaon To Muskuraey,

Koi To Aaye,

Ho Jiska Paikar Bahaar Jaisa,
Ho Jiska Takna Qaraar Jaisa,
Ho Jiska Ghussa Bhi Pyaar Jaisa,
Kabhi Hansa Dy Kabhi Rulaey,

Koi To Aaye,

Hon Jiskey Honton Pe Meri Batein,
Jo Din Ko Bhi Kehta Jaey Ratein,
Hon Ishq Waali Hi Jiski Zaatein,
Jo Mere Chehry Main Khud Ko Paey,

Koi To Aaye,

Jo Teergi Main Ujala Kar Dy,
Jo Mujhko APna Hawala Kar Dy,
Maza Jo Saara Dobala Kar Dy,
Andhairi Raton Mein Jagmagaey,

Koi To Aaye,

Hon Jiski Zulfain Ghata Ki Soorat,
Ho Saadgi Ki Haseen Moorat,
Jo Dil Main Rakhey Na Kuch Kadoorat,
Bura Lagey Kuch To Rooth Jaey,

Koi To Aaye,

Jo Mere Dil Mein Raha Kary Bus,
Jo Mujhse Be Had Wafa Kary Bus,
Tumhi Ho Mere Kaha Kary Bus,
Jo Meri Ghazlon Ko Gungunaey,

Koi To Aaye....
Koi To Aaye....!!!

Kis se kahon....


Kis se kahon....
Aur kon sunay ga?...
Jo haal tumharey baad huwa....
Iss jheell si neeli ankhon main...
Ek Khawaab bohut barbaad huwa..
Iss shehr main kitnay chehray thay...
Sub bhool gayey....
Kuch yaad nahin,,,,
Ek shakhs kitabon jesa tha..
Woh shakhs zubaani yaad huwa...!

Kabhi Ulfat Bhara Lehja, Kabhi Utra hua Chehra...


Kabhi Ulfat Bhara Lehja, Kabhi Utra hua Chehra...
Samjh Mein kuch Nhi Aata, bata mera Gunah kya hy...?
Meri Uljhan Mita to dy, Mujhy Itna bata to dy...
Main Mujrim hun, ya Mehram hun, Saza Kya hy, Jazaa Kya hy...?
Meri Sansain to Chalti Hain, teri Yadon Sy Aey Humdum...
Nhi Fursat k yeh Sochoon, Fanaa kya hy, Baqaa Kya hy....?
Mera ye Dil, Meri Dharkan, Meri Saansain, ye Sab,,
Ye Sab kuch Naam Tery hy, Bata Peechay Bacha Kya hy?

Kaho, woh dasht kaisa tha?


Kaho,
woh dasht kaisa tha?
Jidhar sub kuch luta aaye
Jidhar aankhain ganwa aaye....
Kaha,
sailab jaisa tha,
bohot chaha keh bach niklain magar sub kuch baaha aaye
Kaho,
woh hijer kaisa tha?
Kabhi choo ker usay dekha
To tum nay kia bhala paya
Kaha,
bus aag Jaisa tha,
usay choo ker to apni rooh ye tann mann jala aaye
Kaho,
woh wasl kaisa tha
Tumhain jab chuu liya us nay
To kya ehsas jaga tha?
Kaha,
ik raastay jaisa,
jidhar say bus guzarna tha, makan lekin bana aaye
Kaho,
woh chand kaisa tha?
Falak say jo uttar aaya!
Tumhari aankh main basnay
Kaha,
woh khawab jaisa tha,
nahi taabeer us ki, usay ik shab sula aaye
Kaho,
woh ishq kaisa tha?
Bina perkhay kia jo tum nay
Kaha,
titlii k rang jaisa,
bohat kachaa anokha sa, jabhi us ko bhula aaye
Kaho,
woh naam kaisa tha?
Jisay sehraaon aur chanchal
Hawaon per likha tum nay
Kaha,
bus mosmoon jaisa,
na janay kis tarha kis pal kisi ro main mita aaye
Suno,
khawahishon ki lehron per sambhalna kion hua mushkil?
Bataya ,
paanion per khawab ki rakhi bena jaisay
Bhala tum rooh ki in kirchion main dhoondtay kia ho?
Kaha,
yeh itni roshan hain keh sooraj ha diya jaisay
Suno aankhon hi aankhon ka bayan kesay laga tum ko?
Laga,
phoolon say sargoshi si kerti ha saba jaisay.........!!

Kaho kis ko batao gi

Kaho Kisko Batao gi
Wo Apni Uljhanay Sari
Wo Bechaini Mei Doobay Pal
Wo Ankhon Mei Chupay Ansu
Kisay Phir Tum Dikhao gi
Kabhi Jo Hum Nahi Hon ge
Bohat Baychain Ho gi Tum
Bohat Tanha Reh Jao gi
Abhi B Tum Nahi Samjhi
Hamari Un Kahi Batein
Magar jab Yaad Ain gi
Bohat Tumko Rulain gi
Bohat Chaho gi Phir B Tum
Hamein Na Dhound Pao gi
Kabhi Jo Hum Nahi Hon ge ".........
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
type='text/javascript'/>